Shiv Bhagwan Ke Bare Me-Tridevo Ke Janma Mrityu Ka Rahashya

Bahut se log bahut tarah se sawal puchte hai, aur jankari na hone ki vajah se ya adhuri jankari ke karan vo bewajah galat baatein karte hai. Bahut se log puchte hai – ‘Shiv Ling Kya Hai’, ‘Log ek Ling ki Pooja kyu karte hai’, ‘Shiv Ji ka janam kab hua, kaise hua’.Hamare ajke article  Shiv Bhagwan Ke Bare Me-Tridevo Ke Janma Mrityu Ka Rahashya me hm apko aisi kuch bate batayenge jo apne kahi pe bhi nahi suna hoga.

Kisi Ved, kisi Puran ya kisi bhi aur dusri jagah, dusri cheez me Bhagwan Shiv Ke janam ke bare me kuch nhi likha gya hai. Bhagwan Shiv ke baare me kaha jaata hai..
Shiv nirakaar hai, jiska koi roop nahi hota. Log jise Allah ya God bolte hai, sab ek hi hai. Unka roop kisi insaan ki tarah nhi hai, Vo kisi aakar, shabdon aur gyan ki seema se pre hai. Wo bas ek bindu hai.
Jab bhagwan Shiv ne socha ki, Shristi (Universe) ka nirman kiya jaye, tab unhone bhagwan Vishnu ko janam diya or Vishnu bhagwan ke nabhi se bhagwan Bharma utpan huye. Lekin jab dono ka janam hua to unhe ye hi nhi pata tha ki.. Wo kha se aaye, kaise aaye! Dono hi behad Shaktishali the, aur baat-baat me dono me bahas shuru ho gyi ki kon jyada Shaktishali hai, kon bada hai, isi baat par wo aapas me hi ladne lage. Ye yudh 10000 saal (दस हजार साल) tak chala.

Tab Bhagwan Shiv ek vishal pathar (Ling) ke roop me dono ke beech me aa gaye, jisme se bahoot shakti (jwala) nikal rahi thi. Aur fir ye Akashwani huyi ki – Jo is ling ka Arambh (Starting point) ya Ant (Ending point) paa lega wo hi sabse Shaktishali hoga.
Bhagwan Vishnu niche ki taraf gye aur Bramha upar ki taraf. Jab bahut saalon tak Bhagwan Vishnu ko ling ka Ant nahi mila to vo vapas aaye aur unhone kaha – “Hey mahan Shaktishali Prabhu iska koi ant nahi, mujhe maaf karein, ye meri agyanta thi ki Main khud ko sabse shaktishali samajh raha tha.”


Brahma ji ko bhi Ling ka Aarambh nahi mila par unhone socha main jaa kar keh deta hu ki mujhe Arambh mil gya fir main Vishnu se bada maana jaunga, ye soch kar vo vapas aaye aur ghamand me bole – “Maine Ling ka Arambh khoj liya”.
Tab fir Aakashwani huyi – “Ye Shiv Ling hai aur mera koi akaar nhi hai, Main nirakar hu.”
Aur Shiv ji to sab kuch jante hi the, to unhone Bhagwan Vishnu ko Aashirvad diya aur Brahma ko jhuth bolne ke liye sharap diya ki – ‘Tumhari kabhi bhi pooja nahi hogi’ tab Brahma ne apni galti ke liye maafi mangi aur fir Bhagwan Shiv ne unhe vardan diye.
Note : Ek manyata ye bhi kahti hai ki, Brahma ji ko ling ka Arambh mil gya aur uske baad vo apne aap ko bahut Shakti shali samajhne lage aur vapas aa kar unhone bahut hi ghamand me kaha ki – “Mujhe Arambh mil gaya.” Bhagwan Shiv ko Brahma ji ka ye ghamand pasand nahi aaya aur isliye unhone Brahma ko sharap diya.
Tabse bhagwan shiv ko Shiv-ling ke roop me pooja gya.
Tab Bhagwan Bharma aur Vishnu ne unse prathna ki – “Bhagwn aap humare jaise saman roop me humare saath rahein.
Tab us ling se Bhagwan Shiv bahar aaye. Jinhe Shiv Shankar (Mahadev) kaha gya, jo Shiv ke hi roop hai, jaise ki Vishnu or Bharma.
Un bhagwan Shiv-Shankar ke 5 mukh (face) the or unki patni thi Mata Gayatri (unke bhi 5 mukh the), Mata Gayatri hi Maa Shakti, Sati aur wahi Mata Parvati hai. Mata gayatri ko Praktriti (Nature) bhi kaha jata hai, jinki hum sab – “Om bhur bhuva swaha…” mantra ka jap kar pooja karte hai.
Jitne bhi Devi-Dewata, Bhagwan Vishnu, Bharma or Shiv-Shankar aankhe (आँखे) band karke dhyan (ध्यान) karte hai vo sab Bhagwan Shiv (Jinka koi roop nahi hai, vo jo bas ek bindu hai) ka hi naman karte hai.
Aisa bhi kaha jaata hai..
Ye to koi samajh hi nahi paya ki Brama, Vishnu, Mahesh hai kon. Ye teeno jab milte hai to jyoti ka ek Bindu banta hai, jisse sara sansar hai. Brahma, Vishnu aur Mahesh tino ek hi hai, koi bada ya chota nahi hai.
Sansar chalane ke liye Shiv ji apna vistar kar Vishnu prajapalak, Brahma janam dene wale (Sanharak) aur jarurat padne par wish (zehar) bhi pine waale Bhagwan bane. Vishnu Shiv ki puja karte hain, Shiv ji Vishnu Ki puja karte hain. Par teeno hi Sarvshrestra hain. Koi upar niche nahi hai.
So…

Bhagwan Shiv Ka Janam Kaise Hua

Is baat ka jawab yahi hai ki, Bhagwan Shiv ka na hi koi janam hua na hi koi mrityu. Shiv ka na koi Aadi (shuruwat) hai na hi Ant, vo nirakar hai, unka koi aakar nahi hai, unki koi umar nahi hai. Jo cheez janam leti hai use marna bhi hota hai, jo shuru hota hai use khatam hona hota hai. Par Bhagwan Shiv in sab se (janam-mrityu) pare hai, unka koi janam nahi hua na hi unka koi ant hoga. Vo sabse pahle hai aur sabse ant tak rahenge. Bhagwan Shiv Shankar (Mahadev) jinhe hum jante hai, vo us Ling se bahar aaye, ye unka janam nahi tha, ye bas ek aakar grahan karna tha.
Alag alag logon ki manyta alag alag hai, koi kuch kehta hai to koi kuch aur par sabse bada sach ye hai ki – Bhagwan Shiv hamesha se hai aur hamesha rahenge.
Jain Shambhoo.. ✌


Post a Comment

Previous Post Next Post