Free .TK domain Use Kare Ya Na Kare-Jane Top Important Bate

Hello gues.How are you for all.Dosto ajke topic main un sare blogger ke liye leke aya hu jo ki Free domain use karte hai apne website me.Today main apko bataunga Free .TK domain ke nuksaan ke bare me.Ap sabko janke hairani hogi ki Muft wale domain name use karke ap log apne ap ko hi nukshan pohucha rahe ho.Wo sare reasons ke bare me introduced karwaunga taki ap sabko pata chale ki ap sab kitne bare bhool kar rahe ho free wale domain use karke.Apke website me hone wali nuksan apko pahle maloom nhi chalega.Suruat me bare achhe tarike se yeh domain apke website me kam karenge.Fir uske bad kya hoga wo aj main is topic me apko bataunga isliye ajke is post ko last tak jarur read kare agar ap ek blogger ho aur apne blog ko professional banana chahte ho to!?.Baki apki marzi..

Free .Tk domain Register Kaise Kare

Mere pyare bhaiyo aur baheno.Free .TK domain apko freenom.com site pe mil jayenge.Internet me sirf ekbr search kare "FREE DOMAIN KAISE REGISTER KARE" Yeh likhke.Dekhna kitne sare website apko mil jayenge.Simple se main batata hu Ap  freenom.com search kijiye.Then waha pe ek search domain ka option mil jayega .Ap usme apne manpasand domain search kare.Agar availability hoga to apko woh damain name free me mil jayega.Fir kuch process wagera honge jaise adress,apka mobile number mangege ,email adress yeh sab usme bharna hoga.Uske apko apki manpasand url ekdum muft me diya jayega apke website me use karne ke liye.

Yaro apni dimag ki batti jalao.Ap log to sare free ke chakkar me free free karte rahte ho.Lekin zara socho apko apki manpasand DOMAIN NAME free me kyo diya jata hai?. Zara mind lagao.Agar dimag me kuch bhi nahi aa raha hai to main apko dhire dhire batata hu.




Free .TK domain Apne website Me Kaise Add Kare

Mujhe iske bare me jyada jankari aplogo ko dene ki koi avasyakta nahi hai.Kyoki Jo blogger free domain ke bare me just google pe search karega to usko dhero sare is topic pe apni ray dene wale website mil jayenge.Fir vi hum apko batate hai Apne jo domain name i mean .tk url register kiya freenom site pe.Usi url ko apne blogger pe add karna hota hai.Wo kaise karte hai iske bare me main apko is post me nahi bata sakta kyoki mera maqsat ap logo ko bhatkana nahi hai free ke chakkar me. Agar firvi jo insan free wale domain name apne blog me ad kar chuke ho to usko kahta hu ap jald hi remove kare aur high level domain apne website pe ad kre.

Free Domain Ke Nuksaan

Friends free wale domain name ke bahut sare nuksan hai.jaise ki Agar ap apne website pe koi vi free domain use karte ho to apke site ki RANK down hota chala jayega dhire dhire.Example man lo mera domain http://pyarmeindia.blogspot.com hai jo ki har new blogger ko aisa blogspot.com ka subdomain milta hai.Apke site pe daily jitne vi visitor ate the jaise 500 visitors pahle ate the.Jab ap free wale domain name apke website me add kar loge to apke yeh visitor aste aste kam hota dikhega.Wo isliye ki free domain ki GOOGLE SITE yani search me koi values nahi hai.Googlebot free domain name ko hamesha search ranking me piche rakhta hai.

Dusra nuksaan hai apke website ki har wo post jo pahle INDEX hota tha SEARCH CONSOL pe woh bhi deindex hota jayega.Matlab index hoga aisa nahi ki apki koi bhi post index nahi hoga.but Indexing Jald nahi hoga usme bhi time lagega.Aisa bhi ho sakta hai apka kuch post jisme ap bahut mahenat kiye ho wohi post index na ho.


Tisra nuksaan hai GOOGLE ADSENSE pe apka profile disapproved ho jayega.I mean jab bhi ap apne website se inkom karna chahoge wo nahi ho payega.GOOGLE ADSENSE Team hamesha apke blog ko DISAPPROVAL kar denge.Agar by chance APPROVAL vi mil jaye to adsense ke ads apke blog post ya kahi pe bhi show nahi hoga.Its main reason ki ap chahkar bhi inkom nahi kar paoge apne website se jiske liye itne mahnat kar rahe ho.

Chotha Aur main nuksaan --- Agar ap kuch year se free wale domain use karte ho aur apke site ki traffic bhi achhi ho to Free wale domain site apka sath chhod dega.Matlab jaha par apne free domain register kiye the wo log apke domain DELETE kar denge.Koi bhi reason ke bina hi.Fir ap kuch bhi nahi kar sakoge.Jaha se apne free domain liye the us site se ap contact bhi nahi kar paoge.Agar contact ho bhi jaye to wo log apko reply kabhi nahi karega tab.

So please please jo banda new hai.Website abhi se hi start kiya hai aur aise free domain internet pe search kar rahe hai usko kahta hu aise free wale kuch bhi chij ke chakkar me mat hi pado to apke liye bttr hai.

.Com Domain Register Kaise Kare
Sabse achcha hoga ki Ap godaddy site pe visit kare.Waha par apko khub kam kimat me domain mil jayenge.Agar apke pas credit card ya fir net banking ho to ap asani se 99 rupay me .com high level domain register kar paoge.Then us url ko blogger pe add kar dena.Apka website professional to hoga hi satho sath agar apki site ki rank achhi ho jaye to google adsense register karke achcha khasa paisa incom bhi kar paoge.

Dosto ajke liye bss itna hi.Is post ko padhne ke bad agar aisa lage ki yeh post apke liye helpful hua hai so please SHARE jarur kar dena.Taki wo Sare blogger ko pata chale ki Free domain lene unlogo ko kitne nuksani uthani padegi.

Thanks to read this article.Take care.

Post a Comment

Previous Post Next Post