Apne Android Smartphone Ko Fast Kaise Kare-Top Best Trick

Hello dear reader.Is post ka title padhne ke bad sabko mere hisab se maloom pad chuka hoga ki main kis topic pe apko trick dene wala hu.Yadi firbhi nhi pata to main bata deta hu Apne Android Smartphone Ko Fast Kaise Kare-Top Best Tips article me ap sikhenge kis tarah slow mobile ko fast kiya jata hai.Ajke din main kisi application ke bare me nahi kahunga but aisa ek tarika bataunga jo ki sab asaani se karke unke phone ko fast kar sakenge.To chaliye suru karte hai.


How To Fast Slow Android Phone Top Best Tips

Mobile ka slow hone ki wajah kya hai wo hum bistar se samajhte hai.Mobile 2 tarike se slow ho jata hai.main example ke sath kahta hu- 
Ap naya mobile jab kharidte ho to aplog mobile ka RAM check nahi karte ho.Koi bhi phone ki RAM agar jyada hoga uska phone utna hi fast chalega.Ab sabke man me ek hi sawal hua hoga ki mobile me kitne ram hone chahiye?.So main to kahta hu ap jab kabhi bhi new mobile lene jao to ap kam se kam 2 GB RAM wale mobile hi kharide.Aur main sabko recommended karunga ki woh log SAMSUNG jaise brand ka mobile hi kharide.Chalo yeh to bat hui new phone ki ab bat karenge hamare apne phone slow kaise ho jate hai.


Dosto jyadatar kya hota hai ki ap mobile se koi bhi application use kar rahe hote ho jaise ki UC BROWSER apne abhi open kiya.Kuch time use bhi kiya fir ap bahar nikal jate ho.Aise karke ap saradin kitne hi app use karte ho.To mera sabko yehi suggestions hai ki jab kabhi vi ap new app use karo to bahar nikalne ke bad usi app ko FORCE STOPE Kar de.Taki wo app background me na chal sake aur apka phone fast rahe.Yadi apko FORCE STOP karna nahi ata hai to ye follow kare.





setting--apps--then koi vi app(jaise UC BROWSER)--Force stop.

Upar ki tip ko dhyan se samjhe fir ap koi bhi app ko force stop kar sakoge.Ab main apko TOP BEST TIPS bolunga jo sikhne ke bad ap kisi bhi mobile ko bade aram se fast se fast kar sakoge.To aiye niche jante hai yeh kaise karte hai.

Slow Android Mobile ko Fast Karne Ke Tarike



Sabse pahle ap apne mobile ki Menu pe SETTING pe jaye.



Setting kholne ke bad ap touch karke ekdum niche chalye jaye.Sabse last me ABOUT PHONE ka option dikhenge.Uspe click kare.


Ab uper ke pic jaise open hoga.To ap dekhiye niche BUILD NUMBER ka option vi hoga.Ab ap is option pe 5 se 7 bat touch kare.Touch karne ke bad waha pe likha huya ek notification ayega YOU ARE NOW DEVELOPER aisa dikhega.Ab ap back button pe click kare.



Back hone ke bad niche dikhega uper ki image ki tarah jaha DEVELOPER OPTIONS dikh raha hai waha par click kare.



Uper ke image ki yeh option OFF hoga so ap ise ON kar de.



Fir apko upar dikh rahe hai photo pe red color pe option ki tarah aisa option dhundna hai.WINDOW ANIMATION SCALE,TRANSITION ANIMATION SCALE,ANIMATOR DURATION SCALE aur dekhiye sab par ANIMATION SCALE 1x kiya huya dikh raha hai.niche diye huye photo ki tarah ab apko karna hai.





Teeno optons pe jo 1x tha un teeno ko upar ki pic tarah ANIMATION SCALE .5x kar dena hai.



Up ke photo ke jaisa karne ke bad ap ab back karke homescreen par aa jaye.Ab dekhiye friends apka phone age se bahut jyada FAST chalega.ITS MY GARANTEE.


Android Mobile Ko Fast Kaise Kare

Upar ke pure process karne ke bad apka mobile pahle se kayi had tak fast chalega.Agar fir bhi kisi ko uper ke trick karne me koi problem ho raha hai to ap direct mere CONTACT FROM me jake mujhse contact kare.Aur ha ek most important bat wo yeh hai ki Mobile ko fast karne ke liye ap koi bhi application install mat karna.Aise application jaise ki CLEAN MASTER,BETTERY SAVER ETC apke phone ko fast karne ki wajah ulta hang kar dete hai.So apsab aise app ko install na hi kare to better hai.Agar install kiye huye ho to turant hi UNISTALL kar de.Aur mere bataye huye TOP BEST TRICK ko follow kare.

So asha karta hu aplog mere is post Apne Android Smartphone Ko Fast Kaise Kare-Top Best Tips article ko achhe se samajh gaye honge.Agar apko meri yeh post pasand aye to ise social site pe share jarur kar dena.Thank you,and good luck to all.


Post a Comment

Previous Post Next Post