Har Android User Ko Pata Hona Chahiye Yeh Top 5 Secret Tips And Tricks

Namaskar dosto.Hamare website par har roj new new post update hota hai jyadatar post love se related hi hota hai.But aj humne socha ki technology category me article likhe.Jise hamari user ko kuch new android tips and tricks and Android care tips janne ko mile.Daily use hone wale apne phone ke bare me kuch naya aur damdar ajke hamare post Har androi user ko pata hona chahiye yeh top 5 secret tips and tricks me apse abgat karayenge.To chaliye dekhte hai niche.




Android hidden tips and tricks ke bare me jankari to har koi janna pasand karta hai.Kya apko pata hai smartphone me chhoti chhoti problems aa jane par use repair karne ki koi bhi jarurat nahi hoti hai.Magar hum anjan kare to kya kare.Hamare pas kisi bhi bat ka idea na hone ki wajah se aisa hota hai.But main apko bataunga ki ghar par hi ap mobile ke kai dikkato ko dur kar paoge.Yeh sab kaise kiya jata hai hum age bat karenge.

Hamare mobile expert jo ki mera best friend bhi hai uske anusar kai bar android phone achanak hi band ho jata hai.Aise me sab to paresan honge hi .Maine uper jaise kaha hamare pas idea , knowledge na hone ke wajah se hum tabhi phone ko lekar repair karne wale ke pas pohuch jate hai.But is problem ko ap apne ghar par hi aram se solv kar sakte ho.

Isse kya hoga friends ki apka to time bach jayega aur satho sath apke money bhi bach jayega.Kyo jhatka laga na apko?.Jhatka to mujhe bhi laga tha jab mere dost ne sab bate khulkar kaha.Yehi bate main apse bistar se kahunga .Aur best guide bhi karunga apko.Step to step .

Android Mobile Top 5 Secret Tips And Tricks In Hindi


Aksar dekha jata hai ki phone use karte karte achanak hi jane kaise phone band ho jata hai.Yeh to apko bhi pata hota hai ki apne kuch bhi nahi kiya but mobile off ho gaya.Aise me apko ek tip follow karna hai.

Yadi  Naya Phone Aise Hi Band Ho Jaye to Kya kare

Kai bar aisa hota hai ki naya phone kharidne ke bad aur use kuch din use karne ke bad wo band ho jata hai.Agar aisa ho to ap mobile ko freeze ke jariye thik kar sakte ho.




Yes dost mobile new hone ke karan aur kuch din jyada use hone se aisa situation ata hai.Kyoki mobile garam hone lagta hai aur bettery bhi naya hone ke karan hota hai aisa.

Aur mobile ki battery ayan se bani hoti hai.Isme hit ganarate hone se kai bar yeh exot ho jata hai.


Inki lifetime badhane ke liye inhe cool batabaran me hi use kare.And freeze me phone ko kisi plastic ke theli .Ya kisi jip lock bag me rakh sakte ho.Taki phone apka gila na ho.Just kuch hi minutes me mobile ko freezer se nikale aur power button ko press kare.Dekhiye chamatkar apka phone restart ho chuka hoga.

Apne Android Mobile Ko Thik Kaise Kare|Android hints tips|Android cool tips


Humne ab tak mobile band hone ke bad use kaise thik kare uske bare me charcha kiya.Ab bat karte hai yadi mobile me pani aa jaye to kya kare.

Yadi Smartphone Pani Me Bhig Jaye To Kya Kare

Apka phone kisi wajah se bhig gaya hai?.Kya isme kisi karan wash pani aa gayi hai?.Kya phone pani me gir gaya hai?.




Aise situation me phone bhig gaya ho to ise turant hi switch on bilkul na kare.Aisa karne se Sort sarkit ka khatra ho jayega.And finaly apka mobile damage bhi ho sakta hai.So is bat ko khash yaad rakhe.

Sabse pahle ap ek kaam kare phone ke jitni bhi accessories hai use turant nikal de.Battery,cover,back cover,sim card,memory card etc.Aur fir mobile ko kisi bhi cotton ke kapde se saaf kare.Woh bhi achchi tarah.

Pura process ho jane ke bad ap mobile ko chawal me rakh de.Dhyan rahe chawal ke baste ke andar hi mobile ko rakhna hai aur phone pura dhak jana chahiye.Battery ko isi tarah rakh de.Chawal phone ke andar gayi hui pani ko khich lega.

Kuch minutes i mean to say 35 to 50 minutes ke bad phone ko baste se nikale.Aur ise television ya pc monitor ke piche rakh de.Isse apka mobile bilkul dry ho jayega.Ap chaho to ise air conditioner ke samne bhi rakh sakte ho.

Then apka phone garantee chalu ho jayega.It is tasted tips.Try karna ise ok?.

Android Mobile Ko Scratch Hone Se Kaise Bachaye



Phone scratching hone ke kai sare reason hai.Mostly hai ki phone par screen guard na chadhana.Aur yuhi use karte rahna.Yadi aapne apke mobile me screen guard nahi lagaya hai to chhote chhote scratch se bhi mobile ko nuksan ho sakta hai.




Scratch ko hatane ke liye toothpaste ka use kare.Isse apko 2 fayda hoga.

ek to scratch ka namo nishan nahi rahega aur dusra apka Smartphone dikhne me looking new lagne lagega.

Thoda sa toothpaste screen ke upar rakhe.Fir ek mulayam kapda lijiye.ab ise dhire dhire rub kare .daag hat jayenge.Scratch gayab ho jayegi.

But ha khyal rakhna is kaam ko pura karne ke liye sirf aur sirf toothpaste hi use kare.Toothpaste jell na hi use kare to better hoga.

Kisi Bhi App Crash Ho Jane Par Kya Kare

Friends yeh sabke mobile me amtaur par aisa hone ko dikha gaya hai.Ajkal kisi bhi app ka crash ho jana aam si bat ho gayi hai.Ap koi app install kar rahe ho Aur then tabhi apke mobile ki application crashed ho jaye to dare nahi.Aisa hone par phone hang bhi ho jata hai.Dont worry ok hum apko isse chhutkara pane ka tips bata rahe hai.




Aise time me phone se battery ko turant nikale.Uske bad mobile me dobara battery ko chadhakar phone ko start i mean  switch on kare.Phone restart ho jane ke bad ap Google Play Store par jaye.Aur wapas usi app ko update kar le.

Lekin update karne ka option agar nahi hai to sabse achcha hoga ki ap pahle to us app ko uninstall kar de.Then play storw me jake install karle.

Apki samasya gayab.aur problem bhi dur.

This post Last words:- 

To dekha dosto aise chhote chhote bate magar bohot powerful tips apke bahut kaam ke hai.Isse ap apne phone ko khud hi har tarah ke khatre se bacha sakte ho.

Hamari yeh post apko kaisi lagi.kya new jankari mili isko padhke.Agar apka answer yes hai to bhaiyo aur baheno ise share kar dena dosto ke sath milke.Aur chaho to is article social sites pe bhi share karna.Taki jankari sabko prapt ho paye.



👌👌Apne Smartphone Ko Fast Kaise Kare,👌👌

😣😣👉Free tk Domain Use Kare Ya Na Kare






Post a Comment

Previous Post Next Post