Namaste dosto.Aur baheno.India me mobile user ke sankhya lagbhag badhte hi jaa rahe ho.Na jane kya ho gaya hai sabko.Smartphone use karte hai magar khudke chahre ka khyal bhi nahi rakh rahe hai.Mobile apke chahre ko dhire dhire nash kar raha hai kya apko maloom hai?.Isi sawal ka jawab hum apko denge is post Smartphone Chhin Raha Hai Apke Chahre Ki Sundarata me.Ap abhi se hi Savdhaan ho jayiye warna future me khatra sirf apko hi uthana padega.
Yadi ap nind me se abhi uthe ho aur soch rahe ho apke face par khil kaise uth gaya.Ya fir kala dagh kaise hua to iska karan apne smartphone ko hi man lo.Harwaqt ap apne phone ko apne hi chahre par sparsh karte ho aur isliye ap chahre ki sundarata khud hi chhin rahe ho.But yeh bhi sach hai ki ajkal phone ke bina jina sambhab hi nahi hai.
Lekin ap kuch agar savdhaaniya rakhte ho to apke chahre ke glowing par koi bhi kharab asar nahi padega.Aiye jante hai phone apke twacha ko kis tarah se effect karta hai aur isse kaise bach sakte ho.
Yadi ap nind me se abhi uthe ho aur soch rahe ho apke face par khil kaise uth gaya.Ya fir kala dagh kaise hua to iska karan apne smartphone ko hi man lo.Harwaqt ap apne phone ko apne hi chahre par sparsh karte ho aur isliye ap chahre ki sundarata khud hi chhin rahe ho.But yeh bhi sach hai ki ajkal phone ke bina jina sambhab hi nahi hai.
Lekin ap kuch agar savdhaaniya rakhte ho to apke chahre ke glowing par koi bhi kharab asar nahi padega.Aiye jante hai phone apke twacha ko kis tarah se effect karta hai aur isse kaise bach sakte ho.
Know Your Smartphone Wreaking Havoc On Your Skin
Muhaso/Khil Se Kaise Bachaye Chahre Ko
Pimple
Pimple
Apke phone par bacteria hote hai aur phone me padne wale dhul se agar apke gaal touch karte hai to is karan bhi muhase aa jate hai face me.Jo ki khash karke ladkiyo par jyada dekhne ko milte hai.Jyadatar log nahi jante hai ki jab hum apne mobile ko skin se touch karte hai tab Skin ke naturalglowing dhire dhire gayab ho jate hai.Aur kayi logo ki gandi aadat bhi hote hai ki wo phone ko washroom me bhi le jate hai jaha na jane kitne hi bacteria panapte hai.Is karan bacteria phone ke sampark me aa jane se wohi apke sarir par bhi ane ka khatra hota hai.
iske karan kayi sare bimariyo ka samna bhi karna padta hai apko kyu hua is bat ki bhanak bhi nahi hoti hai apko.
Isse Bachne Ka Upay
Isse bachne ka to kai upay hai magar main important jo hai wohi batata hu.Apne smartphone ko samay samay par saaf kiya kare.Mobile screen cleaner ka upyog kare.Aur ha mobile ko apne face se dur hi rakhe.Rat ko sote samay mobile phone ko kahi dur rakh de.Sath me rakhke kabhi na soye.Washroom me phone ko mat le jaya kare.Aur washroom se bahar nikal ke hat dhokar hi mobile ko use kare.
Allergy
kya aapke Gaal par races hai toh iska Karan aapke mobile ho sakte hai. mobile or gaal Ek Doosre Ke Sampark Mein Aa Jane Se aisa hota hai .allergy hone Par Us Jagah pe aap ko khujli bhi Hogi .Reaction ke karan aisa ladki aur ladko dono par hi dikhne ko milte hai.lekin aap Chinta mat Kare hum aapko upay Bata rahe hai Jisko follow kare.
Upay
Mobile phone ko gaal ke sampark me naa ane de.Aur mobile par hamesha cover chadhaye rakhe.Plastic cover se apne phone ko protective bhi kar sakte ho.
How To Protect Eyes For Mobile
Ankh Ka Fadfadana
Aapne phone use karte karte hai khyal kiya hoga shayad ki tab apke ankh ke upar ki papdi phad phadane lagte hai.Aur kayi bar to aisa hota hai ki kisi words ko padhne ke liye ap apne eyes ko chhote karke padhte ho.Jise "Tecnek' kahte hai.Yadi ap samay par ispar dhyan na de to apke ankh par number bhi aa sakte hai.
Upay:-
Mobile ko jyada na dekhe.Thode thode antaral me break le.Aur jab bhi ap kuch padh rahe ho tab ankhey chhota na kare.Aur jab kabhi bhi ankh ki papdi phadphadane lage tab mobile ko use na kare.Kuch der ke bad hi use kare.
Kala Dagh
Mobile ko jyada use karne ke karan phone garam hone lagta hai.Kyoki mobile ek machine hi to hai.Kayi bar jyada time tak bat karne par bhi mobile garam ho jata hai aur tab yeh apke gaal ke sampark me rahta hai.Jiske karan us jagah pe kala dagh pad jata hai.Aur yeh apke chahre par melanin ki utpatti bhi nahi hone deta.
Upay:-
Android smartphne se lambe time tak batein na kare.Yadi ap kahi bahar ho tab earphone ka hi use kare calling karne ke liye.Jo ki sabse best hai.
Dark Circle Se Kaise Bachaye Apne Ankho Ko
Ankh Ke Niche Dark Circle
Apka mobile agar Led or Lcd display hai.To savdhaan ho jaiye isse apke ankho ke niche kala dag padhne ki sambhavnaye hai.Ladke aur ladkiya late night tak phone ko use karte hai isse apke nind to kharab to hote hi hai sathosath eyes ke niche dag dikhne lagta hai.Yeh apke natural skin ko fika kar deta hai.
Kaise bache:-
Yadi ho sake ho late night tak phone ko use na kare.Aur sone se adha ghanta pahle hi mobile off kar de.Aur apne phone ka brightness kam rakhe.
So dosto humne apko hamare is article Savdhaan Smartphone Chhin Raha Hai Apke Chahre Ki Sundarta me woh sari batein kahi hai jisse apko future me problem ho sakta hai mobile ke wajah se.Isse bachne ka upay bhi bataye hai.
Apko agar jankari achhi lage to please ise social site pe share karna.Aur is bare me apne friends ko bhi batana.Koi bhi man ki bat ho to comment karke jarur puchhna.