Aaj ke time me tension sabhi ko ho jati hai aur isi tension ki wajah se log depression me chale jate hai. Tension se kaise bahar aaye ye bhi ek bahut badi problem ban gayi hai. Agar kisi ka koi friend ya family member depression se gujar raha ho to us waqt (time) aapka sath hona sabse jaruri hai aur uski recovery hone me aapka sabse main role hota hai. Kaise kisi apne ko depression se bahar kare, kaise uski help kare. Main aapko kuch tips btati hu jisse aap kisi ko depression se bachaa sakte hai.
Depression ek bohot serious disorder hai jisne lakho logo ko apni chapet (under) me le liya hai. Depression ne youngsters se le kar buddhe log tak, har kisi ko apne chapet me leliya hai. Ye humari daily routine ki tension wali life ki wajah se ho raha hai. Depression me insaan frustrate, anger, fear, guilt aur sad hone lagta hai. Aapko ye jaan kar ajeeb lagega ki Males ke comparison me females jyada depression ka shikaar hoti hai.
Jo Person Depression Me Ho Use Khush Kaise Rakhe
KYA HAI DEPRESSION KE SYMPTOMS
- Anand dene wali kisi bhi cheez me anand na ana
- Humesha thakaan jaisa feel karna
- Kisi bhi kaam me mann naa lagna
- Bina kisi reason ke weight ka badhana ya kam hona
- Kisi bhi kaam me decision naa le pana
- Har kisi se nafarat karna
- Life ek uljhi huyi si lagni
- Khane pine ki aadat me changes ka ana
- Self respect ko kho dene jaisa feel karna
- Choti-2 baato par gussa, udaas, guilt, dar hone jaisa mehasoos (feel) hota hai
- Humesha rone ka mann karna
- Chidchida hona
- Neend ka naa ana
- Suicide karne ka sochna aur usko try karna
- Jo Person Depression Me Ho Use Khush Kaise Rakhe
AAPKO KYA KRNA CHAHIYE

Agar Aapke kisi close one ne aapko bataye ki wo depression se gujar raha hai, to aapko uski baato ko samjhna chahiye aur uski madad karni chahiye. Usse khul kar ache se baat karni chahiye.

Usko btao ki depression clinical disorder hai. Depression ek medical condition hai jiska ilaaz ek ache depression ke doctor ke under ho skti hai. Clear kar do ki aap uske liye kitna dukhi hai. Aapko yaad rakhna chahiye ki wo insaan ek emotional problem se gujar raha hai. Aapko koi bhi aisi baat nahi karni chahiye jisse wo depressed ho jaye. Aapko thoda dhairiye rakhna chahiye kyunki kayi baar us insaan ko open hone me thoda time lagta hai. Ek baar agar aapke friend ne aapko bta diya ki wo depression me hai aapko unse us bare me baat karni chahiye aur ye pata lgana chahiye ki wo depressed kyu hai? Kya wo kisi counsellor se baat karne ke liye ready hai? Kya wo dissatisfied hai apni life ya lifestyle se?

Yaad rakhe untreated depression bahut serious bimaari hai, usko aapki help ki jarurat hai par usko kisi mental health professional ki jarurat hai. Different types ki therapies hoti hai aur patient ke accordingly hi uski threatment hota hai. Unko btao ki aap theek ho sakte hai aur medical treatment se theek ho sakte hai, aapki sari tension kam ho jayegi depression se chutkara milega.

Unki care karo. Agar aapka friend nahi baat karta hai to unse puchane ki try karo. Ye unko aapse open hone me madad karega. Agar wo aapko kuch aisa kuch btate hai jisse wo upset hote hai to unko encourage kare. Unko har kaam me madad kare unko aisa feel naa ho ki wo akele hai, unko puri attention do. Iss cheez par unse argue mat kare ki wo kis situation me hai. Humesha unke contact me rahe. Unko bahar le kar jao walk par, ya unka kahi dur ghumane ke liye le jao jisse unka mann divert ho jayega. Unko encourage koi new interest ko apnane ke liye.
Depression Se Kaise Nikle in Hindi
Aapko ye things karni chahiye unke liye. Agar aap unka sath nahi denge to wo aur depression me chale jayenge. Isliye aapka sath unke liye sabse important hai. Aap khud bhi apne aapko educate kare about depression, jab tak aap khud nahi samjhoge depression ko tab tak aap unki help nahi kar paoge.
So, friends agar aapka koi friend ya loved one kisi depression me hai to usko aap depression se kaise nikaal sakte ho aur kaise uski purani life de sakte ho, to aap ye sab kare aur unka sath de jisse unko bhi khushi milegi aur aapko bhi. Aur agar aapko khushi milegi to mujhe bhi to khushi hogi hi na. After all i care for you guys.
So Friends, Agar aapka koi bhi sawaal ho aap comment section mein comment karke puch sakte ho mujhe aapko sawalo ka intezar rahega.