Shadi Shuda Zindagi Ko Successful Kaise Banaye-Happy Marriage Tips

Dosto ajka jo topic hai Shadi Shuda Zindagi Ko Successful Kaise Banaye-Happy Marriage Tips isse related apko bahut sare posts google search engine me mil jayenge yeh mujhe pata hai. Magar maine bahut din ke kosish ke baad aur research karne ke baad jana ki jitne Article mojud usme woh tips nahi kahe jate hai jo real me karni chahiye. Aur jo sach me kaam ke ho. Isliye maine socha pyarmeindia.com par is bare me apko best love advice de saku taki kisi ko koi Pareshani na aye.

Shadi Shuda Zindagi Ko Successful Kaise Banaye-Happy Marriage Tips



Dosto hum jaise boys ka kya sapna ho sakta hai?. Yehi na ki hume ek achhi patni mile, jiske sath romance karke puri jivan gujar sake. Aur woh hume bahut pyar kare taki single rahne ke dauran jo sapna tha woh pura ho sake. Sab milakar Shaadi Ke Baad Hum Dono Hi Khush Rah Sake.  Bina kisi dubidha ke hamara sansar chalta rahe.

Yeh dream har ek insaan , ladki ki hai. Magar ab aisa sach me milna namumkin hai. Kyoki ab halat hi kuch aisi ho gayi hai jiske karan vivah hone ke baad bhi dono khush nahi jee pate hai. Bahut sare aise problem creat ho jati hai. Jisse relationship tutne ke kagar par aa jati hai.

Maine is Article me puri kosish ki hai ki apko behtar se behtar tip dene ki. Taki yadi apki nikah ho chuki hai ya hone wali hai fir age kya karna hai jisse ap dono hi sukhi rah sako. Apni jeevan ko khushal aur success bana sako. To chaliye ab suru karte hai.



Shadi Shuda Zindagi Ko Successful Banane Ka Best Tarika | Happy Marriage Tips In Hindi


Aksar dekha jata hai ki Shadi se pahle sab kuch thik thak rahta hai. Chahe apki arrange mrg huyi ho ya love mrg. But pahle to hume thik dikhta hai lekin vivah ho jane ke kuch hi mahine baad jhagra, man mutaw jaisi cheeze hone lagti hai. Aur yeh silsila itna age jata hai jisse nuksani PATI AUR PATNI dono ko hi uthani padti hai.


Iska sabse bada reason hai apas me prem ki kami, aur apna ego, attitude etc. Yeh woh cheez hai jiske karan problems hi problems creat hone lagti hai. 

Shaadi ke baad ladka aur ladki dono ki hi kosish hoti hai ki is naye life me khush rah sake. Aur kosish bhi karte hai apni apni taraf se best hone ki. Magar iske bawajud bhi situation kharab hone lage to abhi se hi sambhal jana jaruri hai . Niche kuch upay bata raha hu jiska proyog apne married zindagi me use karne se kabhi bhi koi bhi samasya dono ke bich nahi ayenge.

Age badhne se pahle sabhi se kahna chahunga ki khudki koi bhi sawal ho to niche comment box me jarur likhna. Hamari team turant answer jarur denge.

Tips For Successful Happy Married Life


  • Relation me dikhawa mat kare
Yeh baat un ladko ko kahna chahunga ki jinhone vivah se pahle hi dikhawa kiye ho. Wade kiye ho jise pura nhi kar paa raha ho. Mere kahne ka sirf yehi matlab hai ki rishto me dikhawa karne se bache. Jo sach hai us baato ko hi partner ke sath share kare. 

Apko kya lagta hai ki Ap abhi jo kahoge jisse impress hokar apki patni apko chahne lagegi. Aur woh sab jhooth hoga to kya unko iski pata nahi chalegi????.

Pata jab chal jayenge tab unko kitni taqlif hogi is bare me apko pata bhi nahi hai . Isliye hamesha true bole. Apni jitni bhi hasiyat hai wohi dikhaye. Unse wohi kuch share kare jisko pura kar sako. Bekar aur jhutha wada dekar sathi ko taqlif dena bandh kare yehi behtar hoga sabke liye.

  • Jhagda ki karan ko jano aur tabhi suljha do
Husband wife ka jab kisi cheez ko lekar takrar ho jata hai , jhgda ho jata hai to tab dono hi baat ko suljhaye bina gusse hokar sone ke liye chale jate hai. Jisse iski issue dusre din ko hoti hai.  Fir dono ka baat karna band kar dena, rude rahna yeh sab hota hi rahta hai.

Par ab se dhyan rakhna ki humsafar ke sath kabhi bhi jhagde jaisa halat ban jaye to us point ko samajhna jiske karan yeh takrar ho raha hai  fir apka kartavya hai usi reason tabhi suljha dena. Future me yeh problem ho to yehi karna. Apki sari samashya tab hi dur ho jayenge. 

Husband Wife Relationship Tips Happy

  • Milkar kare kaam
Yu to ghar ki kaamo ki zimmedari only patni par hoti hai. Yeh hum jaise insaan sochte hai.aur hubby ki zimmedari ghar ki bahar ki kaam, office ki kamo ko karna hota hai. Isi soch ke karan hi dono hi ekduje ke sath jyada samay nahi bita pate hai aur nahi ek duje ko samajh pate hai.

Yadi wife kitchen me khana bana rahi hai aur hubby bethe hai to hubby ko ko tabhi unki help karne ke liye kitchen me jana chahiye. Milkar kaam karna chahiye. Isse PYAAR BADHEGA AUR FUTURE ME AANE WALI PROBLEMS KO MILKAR HANDLE KAR PAOGE.

Ichhao Ko Puri Kare
Waise to insaan job ya business karte hai aur usi paiso se khud ki ichhaye puri kar sakte hai. Par ab yeh socho ki bechari apki wife ki bhi to kuch tamanna hai, ichha hai to use pura kaun karega?. Woh to koi job nahi karte hai jisse apni ichaye pura kar sake.

So har insaan ki jimmedari hai ki jitna kamate ho utna biwi ko do. Woh samajhdar hogi to kuch paise bank me rakhenge, kuch se ghar chalayenge aur kuch money se dono ki tamannaye ko puri karenge. Yeh baat dimag me rakhna ok.

Busy Schedule Me Romance Mat Khoye | importance of romance in a relationship
Ab baat karte hai personal cheezo ke bare me.  Are yaar shaadi kiye ho aur enjoy na kar pao aisa to nahi ho sakta na?. Isliye daily raat ko sari gam, dukh ko ko bhulakar partner ka itna enjoy karo taki romance se bhar jaye jeevan.

Ho sake to kabhi kabar hotel me candle light dinner kare. Ya kisi hotel me room book kare aur waha band kamre me khub masti kare. Kahi ghumne jaye dono. Infact HONEYMOON me bhi jana. Waha kya karna hai ab sayad mujhe batane ki jarurat nahi hai. Samajh hi gaye honge.

Love 360 Website Ki Taraf Se Suggestion

So yeh thi sukhmay Dampatya Jeevan Ke Gharelu Upay . Iska upyog kare. Agar kisi ko fayda mile to isko social media me share kar dena. Taki aphi ki tarah har person ko benefits mil sake. Share karne ke liye niche button hai . Ok bye. Take care of all....




Post a Comment

Previous Post Next Post