Mobile Ki Battery Kaise Bachaye-Most Powerful Secret Tips In Hindi

Namaskar dosto. Gourab Design website me ap sabka bahut bahut swagat hai.Dosto kya apko pata hai aj dunia me Smartphone user kam se kam 80% ho chuke hai.Is karan hamare india ke bazar me smartphone ka kabza hai.Sabke hat me mobile hai chahe wo college me padhte ho,housewife ho,studend ho ya jo bhi ho.Smartphone to naam se smartphone hai magar mobile ki battery smart nahi hai.Kyoki phone ki battery jald hi khatam ho jati hai thode se use karte hi.Mobile ki battery kaise bachaye-most powerful secret tips in hindi hamare is post me hm apko batayenge ap apne phone ke battery ka long lasting backup kaise badha sakte ho.to chaliye suru karte hai.




New mobile kharidte samay kin kin baton ka dhyan rakhe

Chaliye sabse pahle jante hai new mobile buy karte samay hume kin kin bato ka khyal rakhna chaliye taki us smartphone ki battery ki backup ke bare me pata chal sake.

Jab ap bazar me new phone lene jao to sabse important ap MOBILE KI MAH CHECK kar lo.Kyoki apke mobile battery ka mah jitna jyada hoga utna hi jyada wo battery backup dega.Simply battery ki mah 2500 volt se uper ho sabse best hai.

New phone ka android version check kar le.Ab market me 7.0 android version aa chuka hai.So ap 7.0 ya to 6.0 android version wala mobile hi kharide.iske niche wale version wala jaise LOLIPOP,JELLYBEEN ETC na hi le to better hai.Mobile ki ram bhi dekh le.mobile ka ram 2gb ka ho to superb hai apke mobile ki bettery life ke liye.

Ab hum bat karenge kuch simple tips ke bare me.jiska follow karne se ap apne mobile ki battery life badha sakoge wo bhi asani se.Bina kisi app ki madad se.Niche diye gaye steps follow kare.

Battery Backup Badhane Ki Most Powerful Secret Tips

Kabhi bhi battery ko overcharge na kare

Sabse first to ap battery overcharging bilkul na kare.Jab ap phone ko charge karte ho to is bat ka khyal rakhe ki 95% se uper charge na ho.Fast charging karne ke liye mobile ke network ko off kar de.Aur aeroplane mode ko on kar de.Yadi isse bhi fast charge karna chahte ho to mobile ko SWITCH OFF karke hi charging kare.

Battery performance check kare




Mobile ki battery performance check karne se apko pata chalega ki phone me kaunsa app battery ko jald hi discharge kar raha hai.Checking ke liye niche diye gaye step ko follow kare



Setting--Battery.

Apne mobile ki setting ko khole.ab niche last me dekhe BATTERY ka option dikhega waha click kare.Apko uper ke image ki tarah battery performance dikhega.Fir dekhna kaunsa app jyada battery use kar raha hai jyada percent use kar raha hai.Yadi ap us app ko use nhi karte ho to usee STOP kar de.

Facebook massenger,Twitter,Facebook app,Whatsapp ko manually use kare.


Facebook messenger,facebook app,twitter aise app apke mobile ki battery ko bahut jyada use karta hai.Fast discharge bhi karta hai.Yeh apps jab ap net on karte ho tab automatically apke mobile me us app ke through massage ata hai.Aisa automatically hone ke karan battery par jyada pressure padta hai.Apko is bat ka pata bhi nhi hota hai.

Aise app ko ap manually use kiya kare.Main niche step deta hu uska follow kare.

Setting--Apps--Facebook app--turn off notification [√]

Upar diye gaye step se apko maloom pad chuka hoga isliye jyada jankari dene ki mujhe koi jarurat nahi hai.Uper ke step follow karne se yeh hoga ki jab ap facebook jaise app ko open karoge tabhi yeh app notification send karega.Tabhi us app ke sare msg dikhenge.Isse apke mobile ke battery ka life 30% badh jayega.

Live wallpaper and unusually widget home screen Pe Use na kare

Dosto ap apke phone me koi bhi live wallpaper use na kare.Kyoki LIVE WALLPAPER apke mobile ke screen off hone bad bhi background me chalu rahta hai.yeh battery khatam hone ka main reason hai.Ap ek bar try karke agar dekhna chaho to dekh sakte ho.Mobile ke home screen pe live wallpaper set kare.Ab apna battery percent dekh le.Ab mobile ka screen off kar de kuch samay ke liye.Fir dekhna apke mobile ki battery percent kam ho jayega.

Yehi bat widgets pe bhi lagu hoti hai.So thats why aise widgets and live wallpaper phone ke screen pe set nahi karna chahiye.Main apko suggest karunga ki ap koi bhi photo home screen pe set karo.

Battery Backup Kaise Badhaye




Running apps ko force stop kare

Jis app ko ap use karo then use ho jane ke bad usi app ko FORCE STOP kar de.Force stop karne se ek best fayda hoga woh yeh hai ki use ho jane ke bad woh app apke mobile ki background ki background me process nhi kar payega.Force stop karne ke liye niche diye huye step dekhe.

Setting--Memory--(used app)--Force stop.

Example:- Ap abhi facebook app use kar rahe ho.Fir bahar nikalne ke bad is app ko uper ke step ki tarah FORCE STOP kar de.

Wi-Fi ,Network mode,vibration ko off hi rakhe




Mobile ko touch karte huye uper se drop down kare then dekhe uper diye huye image ki tarah window open hoga.Aise me dekhiye Wi-Fi ,Location,Hotspot sab off kiya hua hai.Is tarah ap in sare option ko off rakhke mobile ki battery backup ko badha sakte ho.

Jitna ho sake utna mobile ki brightness low rakhe.

Mobile ki display me brightness jitna kam rakhoge utna hi battery backup dega.Kyoki brightness jyada rakhne ke karan bhi battery fast discharge hone lagta hai.Jo ki battery ke mamle me yeh thik nhi hai.So is bat ka hamesha khyal rakhe.

Network mode ko jyadatar time 2g me hi rakhe.4g LTE/3g mode ko off rakhe

Friends is mamle me bhi apko sajag rahna hoga.Jab apka man kare internet use karne ke liye to tabhi 4g ya 3g mode ko enable kare.Nahi to is mode disable hi rahne de.Aur 2g network mode ko tab on karde.Mobile ki network jab 4g me hota hai tab signal hamesha LTE network ko search karta rahta hai.Isse bhi mobile battery khatam ho jati hai.So you careful.


Mobile ke keyboard,Touch screen,and touch button ka vibration off rakhe

Jaise ki uper apko likha hua dikh raha hai mobile ke screen par vibration ko off rakhe also touch pe bhi and keyboard par bhi.Vibration off karne ke liye niche bataye gaye step dekhe.

Setting--sound&notification--general-Vibration off on touch

Setting--Language and input--keyboard input method--jis keyboard use kar rahe ho use touch kare --preference select kare--keypress tab me VIBRATION ON KEYPRESS option ko disable kar de.

Multitasking app ko remove kar de.Task ko hata de.




Android mobile multitasking ke mamle me sabse best hai.Multasking means ek sath bahut sare apps ko use karna.Jaise ki ap FACEBOOK Use kar rahe hote ho aur tabhi whatsapp se msg aa jata hai tab ap whatsapp open kar lete ho.Multitasking ka fayda to hai apko lekin nuksani bhi hai.Multitasking ke karan mobile ki CPU pe bhari dawab padta hai.Is karan phone HANG karna start kar deta hai.Aur battery bhi jald se jald samapt hone lagti hai.

Multitask ko remove karne ke liye niche diye step follow kare.

Kisi phone me home button kuch time ke liye press karne se uper ki image ki multitasking app dikh jate hai.

Aur kuch phone me right ya left side ke button touch karte hi yeh apps dikhai dete hai.


Ap simply multitasking app ko left side ya right side pe hata de.

Install kiya huye apps ko play store se update karte rahe.

Android mobile phone ki battery ki backup badhane ke liye mobile me installed app ko samay samay par update karte rahe.Kyoki old app jab new version me convert hota hai to usme kuch feature add kiye jate hai taki battery pe jyada asar na kar paye.So ap PLAY STORE se hi update karte rahe.15 din me ek bar.

Battery saver jaise app ko apne phone me install na kare

Ap agar soch rahe ho ki battery saver jaise app specially battery ke liye hi banaya gaya hai.Yeh apps bhala battery drain kyo karega.Agar ap aisa soch rahe ho to ap galat ho.Battery saver jaise faltu apps ap battery bachane ke liye to install kar lete ho magar yeh apps battery backup badhane ki wajah ghata deta hai.Kyoki aise app hamesha phone ke background me chalu rahta hai is karan battery jald hi utarne lagti hai.So is bat ka khas khyal rakhe.






Dosto ummid karta hu apko Mobile ki battery kaise bachaye-most powerful secret tips in hindi padhke pata chal chuka hoga kis tarah ap chhoti chhoti bato ka dhyan rakhke battery life ko incress kar sakte ho.Agar apme is article ko padhke kuch knowledge aya ho to ise Social site jaise Linkedin. facebook etc pe share jarur kar dena.Aur aise hi new new post ke liye hamare website ko subscribe kar lena.


Post a Comment

Previous Post Next Post