Mobile Se Virus Delete Kaise Kare-Top Level Antivirus

Aj duniya bahut hi age nikal chuka hai.Hamare india me kam se kam 87% insan Android mobile user hai.Jamana hi aj smartphone ka hai.Smartphone to har koi use karna jante hai.Sab internet vi use karte hai.Facebook,whatsapp aise bahut sare apps hai jisko use kiya bina rat ko nind bhi nahi ati hai.Par kya apko pata hai ap internet to use kar lete ho magar net use karte karte apke mobile me virus bhi aa sakte hai.Mobile Se Virus Kaise Delete Kare-Top Level Antivirus article me ap sikhenge kisi vi virus ko ap bade araam se delete kar sakte ho.




Internet pe virus attact vi kar sakte hai apke phone me.Internet use karte samay galti se hi kuch aise site pe bhi ap chale jate ho jaha fishing ka khatra bhi ho skta hai.Koi bhi browser se ap koi bhi app apne phone pe install kar lete ho usse vi virus aa sakta hai.Aise bahut sari bate hai jisse apke android mobile me virus aa jate hai lekin apko is bare me kuch bhi pata nahi hota hai.So sabse pahle jante hai ki virus kya hota hai.

Virus ek aisi chij hai ki agar apke mobile me galti se bhi aa jaye to apke smartphone ko bahut hi jyada khatra uthana pad sakta hai.Jaise ki virus apke phone me hone ke karan apki  har wo data jo ap kisi se share nhi karna chahte ho woh chori bhi ho sakta hai.Example Facebook password ,Kuch apni own image,Mobile ki massages,Mobile se kiye jane wala bank account ki har wo bate jo virus phone me hone ki wajah se yeh sab third person ke pas chala jata hai.Aur jo virus apke mobile me hai usi virus ko jisne banaya hai usko apke phone ki sari privacy milne ke karan wo insaan sabkuch kar sakta hai.Apka facebook acount hack vi kar sakta hai.Apke us images ko social site pe viral vi kar sakta hai jo image ap kisi se share nhi karna chahte ho.

Aise anjane me hi agar apke phone me virus chala gaya ho to use delete karde jald se jald.Warna parinam apke liye bahut bura ho sakta hai.Main ek point kahta hu ap logo ko agar apne virus nikalne ke liye koi bhi app install kiya ho to use delete karde.Kyoki main ab ek aise top level antivirus app ke bare me bat karunga jo ki sabse better antivirus app hai.Antivirus application to apko bahut sare mil jayenge but wo kuch kaam ka nhi hoga.Kyoki mera 5 years se experience hai is mamle me so main aj is post me mere experience share kar raha hu.so chaliye jante hai woh app kaun sa hai.

Mobile Se Virus Kaise Hataye-Top Level Antivirus App 

Ab main apko kuch important tips dunga jisse ap virus ke khatre se bach sakte ho.Sabse first to ap kisi vi browser se koi bhi app apne phone me intall na kare.Jo bhi application ap install karna chahte ho to us app ko play store se hi intall kare.Browsing jyadatar time chroom browser hi use kare.Uc browser aise app ap na hi use kare to better hai.



Kisi bhi free WI-FI network se apne phone connect na kare.Free wifi use karne se apke mobile privacy ka khatra bhi ho sakta hai.Bluetooth se file transfer vi kam kiya kare.Aise chhoti chhoti bato ka dhyan rakhne se apka mobile 90% virus ke khatre se bach jayenge.Fir bhi agar apko sanka ho ki apke mobile me virus hai,ya fir check karna chahte ho to niche diye gaye steps follow kare.



Sabse pahle is uper ke image ki tarah PLAY STORE open kare.



Play store open karne ke bad Uper dekhe search me red color me jo likha hua dikh raha hai Kespersky type kare.then image pe dekhe search ke niche jis app ka icon dikh raha hai use touch karke new window open kar le.



Ab simply ap photo me dikhaye gaye anusar is TOP LEVEL ANTIVIRUS APP ko install kar le.



Install ka process complete hone ke bad jo OPEN ka option dikh raha hai use touch karke is app ko open kar le.Ap directly install hone ke bad ise phone ke menu bar se bhi open kar sakte ho.



Is application ko open karne ke bad yeh apse kuch permission and user agreement mangenge use apko accept kar lena hai.Fir uper ki pic ki tarah jaha SCAN ka option hai waha touch karke apne phone ko start karna start kar de.



Proccess ho jane ke bad agar apke mobile me virus hoga to yeh app automatically virus ko remove/delete kar dega.Chahe wo virus HIGH RISK ka hi kyo na ho.So dear friend is tarah ap kisi bhi virus se apke mobile ko protect kar sakte ho.Is tarah apne phone ka scan ap rojana kare is app ke madad se.Taki ap apke phone ko healthy rakh sake.

Mobile Se Virus Nikalne Ka Tarika

Dosto virus ke mamle me ap hamesha sajag rahe.Kyoki ek chhoti si galti ke karan apka smartphone hack ho sakta hai.Isliye apne mobile me best top level antivirus app intall karke rakhe jo maine uper bataya.

At Last Step: 
Is post maine jo jo kaha aur jo jo process bataya karne ke liye yeh to ap sabko pata chal hi chuka hoga.Agar by chance ap jyada kuch is mamle me janna chahte ho to niche diye huye video ko ek bar dekhle.Ise dekhne ke bad apko har sawal ka jawab mil jayega.





Friends meri yeh post agar apki kuch kaam aa jaye to ise SHARE jarur kar dena.Koi bhi sawal ke comments bhi karna.Hamari team apki har prakar se help sure karegi.Thank you.



Post a Comment

Previous Post Next Post