Sachche Pyar Ka Matlab-True Love Information

Hii dosto mai aapki friend Sareena aaj mai aapse baat karne wali hu LOVE ❤️ ke bare mai...kya hota h?..kese. kisse or kaha hota h....kyu hota h....kyu jaruri hain...aayiye jante Sachche Pyar Ka Matlab-True Love Information.

*Meaning in hindi

Yah sunne mai jitna aasan or simple word h...utna hi ise nibhana ha dosto isko pana itna aasan nahi..hum golgappe to bohut jaldi kha lete h or uska taste bhi bta dete h par piyar vo sangharsh h jo shayad vahi jaan payega jisne ise samjha ho ya fir mehsoos kiya ho.

*Iski short knowledge

AB AAP KAHENGE.. KI mohabbat TO HAR KOI KARTA OR PAA bhi leta h...to Dosto mai aapko bta du....rishte nibhane ke liye bahut kurbani deni padhti h...roj roj gf ke liye ya bf ke liye flowers le jana ya gift dena nahi h balki ek dosre ke bina kahe he uske mann ki baat ko jaan lena. Yehi hai true love. ❤️♡

*Kaha kaha par hai?. 

Pyar to har chij mai h..har jagah h.jaha jate hain vaha he dikhta h.pr important ye h ki hum us ko dekh pate h ya nahi...humara najariya esa he hain ya nahi....

*Asal me yeh hai kya?. 

Pyaar koi samjhota nahi balki choti choti chijo mai chupa ehsaas h....ye ek  khatta mitha sa ehsaas h....ice cream ki tarah h....jitna thanda hone sath sath pighalta bhi h....pizza ki tarah h....jab ek hi bite mai se do log share kare... Iske ke bare mai jitna kaha jaye ya baat ki jaye kam hi h.


 



Pyar kya hota hai samjhaye koi


*Yeh ek dua hai

Bohut khushnaseeb hote h vo log jinhe koi yaar milta h....life mai esa bahut kam hi hota h ki jo hum mange vo hume mil jaye...or jin logo ko ye naseeb hota h vo bahut hi khushnaseeb hote h....

*Piyar ki paribhasha

piyar ki hum jitni bhi paribhashye de kam h.....kyuki is ki sahi mayene mai koi paribhasha h hi ni....ye to ek ehsaas h....jo dil mai ese utarta h jese jivan mai khushiyo ki sougaat..... Ishq vo h jo girte hue ko utha deta h....

*Pyaar jeena sikhata hai

Shayad isme jitne bhi shabd likhe jaye  kam hi hoge.....par kya pta mai kuch likhkar kam se kam khud ko santust kr saku...ye hume bohut kuch sikhata h.... Rone vale ko hasna....jo jindgi ko nhi chahta ho use jindgi se mohabat karata h.....

*Rishto ki samjh karata hai yeh

Apno ki ehmiyat samjhata h....rishto ki pehchaan karata h...ho sakta h mene kuch jyada hi likha ho pr yahi sach h....hum aksar samne hui chijo ko ignore bhi karte h pr kismat mai jo h...use kese ignore kiya ya bhula ja sacta h..

* Sachcha ishq yeh ek jimmedari hai

jab do logo ke bich ek naya rishta janm leta h....tab humpar or jyada jimedariya aane lagti h....or jab hum is jimedariyo ko nibhana shuru karte h tab hum ye baat shayad bhul jate h ki jiske liye hum itna kar rahe h kya vo insaan in sab ki ehmiyat samjhta h ya nahi.


Sacha Pyar Kya Hota Hai Aur Yeh Kyu Hota Hai


*Understanding

Isme jyada jaruri h vishwas ek dusre ko samjhna....agr jise aap pasand karte h uspar vishvash karte or pasand karte h....to shyad aapka chahna kabhi kamjor nahi padh sacta....ladhki ho ya ladhka..dono ko hi is baat ko samjh kar chalna padhta h...

*Yeh koi formula nahi hai

Agr dono mai se ek bhi nahi samjhta ya fir ye kahe ki vo rishte ko formality ke toor par nibhaye to dosto... Is ki ye patree aage nahi badh sakti.....ye ek chij h jise mile to subhanalla agr na mile to bhi nirash nahi honi chahiye...




*Kosish karte rahna chahiye

Haar kabhi nahi manni chahiye..bhale hi kitni pareshaniya kyu na aaye...jab hume koi mil jaye to aage badhne luge to sath jindgi bitana bhi aasan sa lagne  lagta h....par kya ye possible h...jaruri nahi ki hum jise pasand kare uske sath hi jindgi beete...

*Dono ka sath hona hai jaruri

Jaise jese ye gaadi aage badhti h vese vese pareshniya bhi badhti jati h....is bich ye bohut jaruri hota h ki aapka sathi us waqt aapka kitana sath deta h....Khair ishk mai jitne ache ehsaas h use kahi guna jyada kathinaiya aati h.

*Pareshaniyo se ubharna sikhata hai

kadhnaiyo ko hum kis tarah face karte h us samye ye bohut ehmiyat rakhta h.....insaan chahe kitna bhi kuch kar le par aksr jab vo aage bhadhta h to uske samne anek esi pareshaniya aati h.


What Is Love All About In A Relationship


*Isme kuch pana hai to khona bhi hai

Isme insan kabhi kabhi khud bhi nhi smjh pata ki us problem ko kase solve kre .. Par jase ki hum sabhi jante hai. Kuch paane ke liye kuch khona he padhta hain usi trah ye  rishta bhi kuch aisa he hai...

*Raste me kathinaio se ladna sikhata hai

Ye rasta hume shuru shuru me to bahut acha lagta hai ..Par jase jase iss rishte me aage badhte jaate hain.vase vase humare raste me kathinaiyan bhi bahut aati hai ...Par kehte hai ki kathinaiyon ke saamne haar kabhi. Nhi manni chahiye.....

*Partner ka sath

Isme problem bhale he kitni bhi kyu na aaye agr hum. Kisi ko truely chahte ho to use nibhane ke sath sath hume. Uska sath bhi puraa dena chahiye.haan ye sach hai ki zindagi me sab kuch mile ye kabhi possible nhi hota hai par. Hume koshish jrur. Krte. Rhna chahiye ....Jaisa ki humne phla bhi kaha hai haar nhi manni chaahiye .....

*Do dilo ❤️ ko milata hai yeh

Ishq me na jaane kitne dil tootte hain or na jaane kitne dil judhte hain
Ya dekha jaaye to judhte kam hai or tootte jyada hain dosto ye bhi humare samne ek sawal he hai ki aisa kyu hota hai ki dil jab judne hote hai to tootte kyu hain... Agr is bare me bat kre to jyadatar jb aisa modh aata hai to log yahe sochte hai ki wo mere layak nhi hai ya fir wo mujhe samjhta nhi hai ya smjhti nhi hain...

*Iske liye bhagwan par bhi bharosha rakhe

Bhagwan par bhrosa ka naam aate he bus ek he. Bat zubaan par aati hai ki upar se he rishte banke aate hai yahe dastur hain duniya ka to hum bhagwan ke aage kya hain isliye kabhi bhi nirash  nhi hona chahiye.... Bhagwan par bharosa  rakhna chahiye.



What Is The Meaning Of Love In A Relationship

*Partner ke liye galatfamiya kabhi nhi

Rishte me kabhi bhi ek dusre ko blame nhi krna Chahiye kabhi bhi ye jruri nhi hota ki hamesha samne wala he galat ho hum bhi galat ho sakte hain..... Ego ke sath kabhi bhi iss rishte ko aage na badhaye

*Main important :- Understanding

Ye aisa rishta hai jo kabhi swarth se nhi chalta ye rishta ek dusare ki Understanding  se chalta hai na ki selfish hokar.....agar rishte ko nibhana hain or chahte ho ki wo jyada der tak nibhaya ja sake to aapko pehle to khud ko smjhana padega or usme dusro ki khushiyo me khud ki khushio ko dhundhna hoga.....


*Swarthi banoge to yeh apka sath chhod dega

Aapko dosto pta bhi ni hoga kabhi kabhi hum bht jyada selfish ho jate h us waqt hume apne swaarth ke aage kuch nhi dikhta  par aisa kabhi na kare kyunki selfish ka matlab hai swarthy hona..... Or agr insan swarthy ho jata hai to wo insan kisi rishte ko kase nibha skta hain...


*Sirf apne liye nhi. Dusro ke bare me bhi sochna

Isliye kehte hain ki hume keval apne liye he nhi balki dusro ke bare m bhi soch kar chalna chahiye. Sachchi pyaar hume bahut kuch sikhata hain. Ek dusare ki khushiyo  ko dekhna. Ek dusare ka khyal rakhna.Yhi  hai pyaar.



Ishq Aur Mohabbat Kya Hai Iski Puri Jankari Hindi mein

* Isme kurbani bhi dena padta hai

Dosto par kya aap jante hain ki yeh ek kurbani bhi hain... Ek aisi kurbani jo apni khushi ko na dekhte hue aapke liye sab kr de.... Jaise aapka hi vo khud support ban jaaye...ji haa...esi kurbani ki hee baat kr rhi hu Main....

*Importance ko sure samjhe

Asli lv hume wahe dekhne ko milta hain. Ya kahe ki vishwas or us insan ki kimat humare liye or kahee guna jyada badh jaati hain.... Main bhi yahi kahungi ki agar aapko esa koi mila hain toh pizza aap iski keemat ko jarur samjhe kyuki ek chij milne ke baad hume ye dubara nahi milti hain... Isliye is ki Importance  ko jarur samjhe.

*In this post last SuJav:-

Mai aap logo se dosto yaha kehna chahungi ki agr aap kisi ko sachche dil se chahte ho to please aap us insan ko importance jarur de or iss dulare se rishte me shaq ki gunjaish na hone de jaha shaq hoga waha rishta or bigad sakta hai wo insan aapse dur jaa skta hain.

Toh aap iss mohaabat ke raste par agr chal he padhe hain to chalte hue us raste par khud par vishwas or bharosa jarur rakhe.....

Main Sareena aapke liye kuch naya isi tarah laati rahungi agar aapko mera ye post pasand aaya to please share and like karna na bhule. Thank you.


Post a Comment

Previous Post Next Post